Tuesday, April 17, 2007

Akela JIvan

Akela aaya hun, Akela jaunga,
Akela hi main chalta rahunga,
Par agar ai musafir,
Saath dena ho mera,
Tujhe apna saati bana main lunga.


Tu chahe to bich raste me chod de,
Tujhe vida main gale laga kar kurnga,
par main akela badhta rahunga.

Chahe ho phool ki pankhudiya jaamin pe,
Ya ho kaante ki sayya raste par,
Langh jaunga aag ka daria yu hi main,
Fir bhi manjil ki or badhta rahunga.

Akela aaya hun, Akela jaunga,
Agar mil jaye manjil kahin bhi,
Nai manzil ki ore badh jaunga,
Apna yeh jivan chakra chalata rahunga,

Akela aaya hun, Akela jaunga
Agar aajaye bulawa khuda ka,
Sab kuch yahin chod natmastak karunga,
Akela aaya hun akela jaunga

1 comment:

Unknown said...

Beautiful thoughts.....beautiful poem......same as your beautiful heart sweetheart.....